Friday 11 April 2014

Nazar Nazar se milakar sukoon paata hun,

Tujhe gale se lagakar sukoon pata hun,



Ghazab to yeh hai ki jo shakhs tera apna ho,

Use bhi apna banakar sukoon paata hun,



Andheri raat me jab saari duniya soyi ho,

To tere sapne sajakar sukoon paata hun,



Tere baghair jo jeena mahaal ho mera,

Koi ummeed jagakar sukoon paata hun,



Main tere baare me kya sochta hun jaane bahaar,

Wo baat tujhko sunakar sukoon paata hun,



Jo chhen sakti hain tujhko mere muqaddar se,

Main unko tujhse bachakar sukoon paata hun,



Main teri doori jo bardaasht kar nahi paata,

To tujhko paas bulakar sukoon paata hun,

Wednesday 9 April 2014

Kisi ko apne khyalon me la na paaoge,

Mujhe bhula ke kabhi muskura na paaoge,



main teri zaat se istarha jud gaya hun sanam,

Mujhe bhulana bhi chaho bhula na paaoge,



Yaqeen maano tumhari kitaabe hasti ka,

Main aisa lafz hun jisko mita na paaoge,



Bichhad rahe ho magar ek baat to sun lo,

Meri tarah ka koi doosra na paaoge,



Mujhe bhi khoob dasegi yeh shab ki tanhaee,

To tum bhi roop koi chaand sa na paaoge,


Zehn me phir yaad ke rangon ko
bikhrate hue,
Ro pada hun aaj main is dil ko
samjhate hue, Meri sachchai pe aksar jhoot hi
ghalib raha,
Woh hamesha hi gaya hai
mujhko jhutlate hue, Sirf ummedon pe hi guzri hai
saari zindagi,
Ek zamana ho gaya us shakhs
ko aate hue, Meri aankhon me bhi ubhra aks
dhundla sa koi,
Maine jab dekha hai ae bulbul
tujhe gaate hue, Door sannate me koi cheekhta
hai baar baar,
Dekhta hun qaafle ko paas se
jaate hue,

MUJHE AAWAAZ DE DENA kabhi jab hijr ki raaten
Bahut tareek ho jaayen, Tumhari aankhon se jis dam,
Suhaane khwaab bhi kho jaaye, Tumhari rahguzar me jab
Naye kaante nikal aayen Tumhare gulsitaan me jab,
Wafa ke phool murjhayen, Tumhari shokh nazron se,
Agar yeh chaand chhup jaaye, Koi gumnaam si awaaz,
Samaa'at se jo takdaye Tumhare dil ko tadpaye
Tumhen paagal bana jaaye, To us lamha
Tumhe mujhse Muhabbat ho ya nafrat ho,
Agar meri zaroorat ho, Mujhe awaaz de dena.....
Main waapas laut aaunga.

Aa bhi jaao ae jaane ada, tumko
dekhe bahut din hue.
Dil ne ro ro ke phir yeh kaha,
tumko dekhe bahut din hue. Tum mere paas the jis ghadhi,
apni lagti thi yeh zindagi,
Bujh gaya aas ka har diya,
tumko dekhe bahut din hue, Chaand taare zameen aasma'n,
ghair lagta hai sara jaha'n,
Tum nahi ho to hai mera kya,
tumko dekhe bahut din hue, Tum hamesha duao'n me ho,
mere dil ki sadao'n me ho,
Ho nazar mujh pe ab dilruba,
tumko dekhe bahut din hue, Ab kahan chaandni raat hai, ab
kahan pyaar ki baat hai,
Ab kaha'n koi bhi aasra, tumko
dekhe bahut din hue,

wo sehne khwaab me aksar utaarta hai mujhe,
Bigaadta hai, kabhi khud sanwaarta hai mujhe,

Ajeeb shakhs hai wahmo guma'n ki waadi se,
Andheri raat me aksar pukaarta hai mujhe,

Ajab junoon sa uspar sawaar rahta hai,
Mujhe hi paane ki khaatir wo haarta hai mujhe,

Naye safar ke liye jo bahut zaroori hai,
Woh raasta bhi to aksar nihaarta hai mujhe,

Mere wajood me uska jawaab hai hi nahi,
Woh apni ankhon hi aankhon me taarta hai mujhe,

Muhabbaton ka anokha jahan banayenge,
Kyaalo khwaab ke jaise use sajayenge,

Karenge yaad tumhen khud ko bhool jaayenge,
Ham apne aapko kuchh aise aazmaenge,

Wo din bhi aayega jab gaaon laut jaayenge,
To beneyazi se ham bhi patang udaayenge,

Shabe wisaal Shamaa baar baar kahti rahi,
Tu na ummeed na ho woh zaroor aayenge,

Agar tumhi na rahe zindagi me jaane wafa,
To kisse roothenge ham aur kise manayenge,