Monday 18 August 2014






Pyaar ki haqeeqat ko dil mera samajhta hai,
Kaun kitna pyara hai aaina samajhta hai,

Khoon begunaahon ka raayegaan nahin jaata,
kab azaab naazil ho yeh Khuda samajhta hai,

Kitna bhola bhala hai mera chaahne waala,
is haqeer hasti ko dewta samajhta hai,

Kab talak zaroorat hai raushni ki is ghar ko,
ya hawa samajhti hai ya diya samajhta hai,

Hoshmand hai kitna mere gaaon ka paagal,
sirf apni laathi ko aasra samajhta hai,

Kal ki shab na jaane kyun zehn me yeh baat aayi,
Koi to hai jo sabko ek saa samajhta hai,

Hai darindagi jiske rom rom me shaamil,
Aaj har koi usko rahnuma samajhta hai,

Kal ganwaar the lekin qadr thi buzurgon ki,
aaj baap ko beta mas'ela samajhta hai,

Hamsafar hai toofaa'n ka aur dhuen si hasti hai,
E''k naujawa'n ladka khud ko kya samajhta hai,

Sach jhalakne lagta hai beqaraar aankhon se,
Kisme zarf hai kitna mae'kada samajhta hai,

Jaane bas chuka hai kaun uski shokh aankhon me,
chaand ko bhi woh paagal koyela samajhta hai,

Zehn mujhse kahta hai woh wafa ki moorat hai,
aur dil hai jo usko bewafa samajhta hai,

Hostel me rahta hai jabse laadla mera,
Wo har ek parinde ko gaaon ka samajhta hai,