Wednesday 22 January 2014

MERI DIARY KA EK PAGE

Kai arse hue,
Jab maine gaaon ko alwidaa kaha,
Aur
Shahr ki bhool bhulaiyon me kho gaya,
Aaj achanak aisa laga,
Ki mera gaaon mujhe awaaz de raha hai,

Main wapas jaana chahta hun,
Usi gali me...
Jiski mitti garmi ki dopahar me bhi
Barf bankar mere paaon ko gudgudaaya karti,

Jana chahta hun us khalihaan me..
Jahan bhoose ke dher ke andar maine pakne ke liye kele
chhupaaye the,

Jaana chahta hun nukkad ki us dukaan par.
Jahan maine udhaar me biscuit
liye the.
Jiske paise aaj tak mujhpar baaqi hain,

Jaana chahta hun us peepal ke paas,
Jiski shaakhen mujhe awaaz de de kar thak chuki hain,

Jaana chahta hun us sookhe talaab ke kinaare,
Jaha'n keechar me lat pat bachche aaj bhi machhli pakad rahe honge,

Wo bazaar mujhe sada de raha hai,
Jaha'n ki Moodhi aur Kachri ka maza aaj bhi honthon par salaamat hai,

Woh boodhi aankhen...
Jo aaj bhi mere liye darwaaze par tiki hain..
Mujhe un bujhi aankhon me muhabbat ke diye raushan karne jaana hai.

Mujhe ghar ki chhat ke us soorakh ko band karna hai...
Jahan se beghairat mausam jhaankte rahte hain,

Daulat aur shohrat ki is qaid se azaad ho kar....
Main gaaon jaana chahta hun..

Mujhe guzre dinon ka qarz utaarna hai,
Taaki main hamesha ke liye chain se so sakun,

kai zamaane se dil me basa ke rakha hai,
Nigaahe ghair se tujhko bacha ke rakha hai,
Kisi ka aajkal khwabon me aana jaana hai,
Dyaare dil ko gulon se saja ke rakha hai,
Yeh hausla hai ke rasme jahan ki aandhi me,
Diya ummid ka ab bhi jalake rakha hai,

yeh duniya ek samundar iska saahil hain mere Abbu.
Muhabbat ke safar ki ek manzil hain mere Abbu,

Bhala mere labon se muskurat kis tarah jaaye,
Meri takleef ke madde muqabil hain mere Abbu,

Meri ankhon ka mere dil se kitna paak rishta hai,
Meri aankhen meri Maa'n hain mera dil hain mere Abbu,

Khula hai dosto mere liye jannat ka darwaaza,
Meri saanson ki is mahfil me shaamil hain mere Abbu,

Meri khaatir masaaeb ka kiya hai saamna hanskar,
Mere nazdeek ek ustaade kaamil hain mere abbu,

kabhi aisa bhi ho jaaye..

Ke mere khwaab hon jaana'n
Magar Aankhen tumhari hon,

Tamannaen meri hon
par dhadakta dil tumhara ho,

To phir shayad tumhen
Ehsaas ho jaaye
Ki meri zindagi kaise guzarti hai?
Main kaise khwaab bunta hun?
Meri kya arzooen hai?

Kabhi aisa bhi ho jaaye...

Ki kuchh pal ke liye...

Tumhari rooh mere jism me aajaye.
To shayad
Tum samajh jaao
Ki mujhko tumse kitna pyar hai..

Lekin
Kabhi yeh ho nahi sakta.

Magar..
Kabhi aisa jo ho jaaye................

aankhon me koi khwaab ubharta bhi kaha'n hai?
Ab chhat pe kabhi chaand utarta bhi kaha'n hai?

Ankhon me dabe paaon chale aate hain sapne,
Ab aah mera dil kabhi bharta bhi kaha'n hai?

Ek yaad hai arse se mere chain ka dushman,
Ek rang hai jo mujhme bikharta bhi kaha'n hai?

Main uske fasaane ka hun gumnaan sa kirdaar,
Dar asl mujhe pyaar wo karta bhi kaha'n hai?

Ab khaak bacha hai koi jeene ka bahana,
Wo shakhs bhi ziddi hai wo marta bhi kaha'n hai?

kitni bechain si lagti hai fizaa aaj ki raat,
de raha hai koi ro ro ke sada aaj ki raat,

Meri aankhon me hai thahra wo gulaabi mausam,
Jal raha hai meri palkon pe diya aaj ki raat,

Aaj ki raat mujhe neend nahi aayegi,
Muntazir hai koi khwabon me mera aaj ki raat,

Chaand'ni bikhri hui hai meri chhat pe lekin,
Rootha rootha sa hai yeh Chaand mera aaj ki raat,

Aam ki daal pe baithi hui tanha Koyal,
Jaane kyun lagti hai duniya se khafa aaj ki raat,

Main adhure se fasaane ko mukammal kar lun,
Jaane waale tu zara laut ke aa aaj ki raat,

Chaahat ka deep mujhse bujhaya na ja saka,
Bichhda woh is tarah ke bhulaya na jaa saka,

Na jaane kaun si thi khata uski ya meri,
Chaha to tha manana manaya na jaa saka,

Uski rifaaqaten bhi thi na mumkinaat me,
Ek lamha usse door bhi jaaya na jaa saka,

Duniya ke saamne thi meri khaali botale'n,
Itna piya........... ki aur pilaaya na jaa saka,

Dil to bhatak raha tha kahin regzaar me,
Sar tha jo tere dar se uthaya na jaa saka,

Jisne mita diya mujhe harfe ghalat ki tarha.
Mujhse to uska khat bhi jaalaya na saka,

Tadbeeren phir naseeb ke kaandhe pe so gayin,
Bigda kuchh is tarah ke banaya na jaa saka,

Shayad kisi ki yaad ka maskan tha dosto,
Aankhon se ek ashk giraaya na ja saka,





Saturday 18 January 2014

Apna Ghar

Apna Ghar apna gaaon

Apno ke beech




Bihar University ke ek progm me

Bihar University ke ek prgm me

Ek Prgm me

Ek prgm me

Safar ki taiyaari

Ek Teacher ko award dete hue

Apna gaaon


Puraane dost

Beta Naqshi


Beta Bakhshi





Siwan ke ek gaaon ka manzar

Motihari me

Hajipur me









Urse Allama Shabnam kamali me as anncer

6 Class ki tasweer