ab apne dil ka koee zakhm phir se see nahi sakta,
Use khud bhi pata hai uske bin main jee nahin sakta,
Meri khamoshiyon ke beech koee shor karta hai,
Use main door khud se dosto kar bhee nahi sakta,
Suna hai khwaab ke us paar hai ek dard ki basti,
Jahan jaane ki hasrat hai magar jaa bhee nahi sakta,
Ana ke waaste ladna hai mujhko kuchh nihatthon se,
Mujhe wo kaam karna hai jo mai kar hee nahi sakta,
Maa'n
Jo zindagi bachi hai yahin pe bitaunga,
Maa'n ab kabhi main shahr me waapas na jaunga,
Mujhko nayi zameen naya aasman mila,
Ha'n ha'n wahin to mujhko koi mehrabaan mili,
Mujhko naya dyar nayi raushni mili,
Ae maa'n wahin pe mujhko hasin zaat bhi mili,
Ae maan tujhe khabar hai wahan dewta bhi hain,
Ahle wafa bhi hain to wahin bewafa bhi hain,
Har naujawaan nigaah ko mahboob hai magar,
Main kahta hun wo shahr bahut khoob hai magar,
Qanoon uska apna alag apna taur hai,
Us shahr me to pyar ka matlab hi aur hai,
Matlab ka ek rishta sabhi ka sabhi se hai,
Pahchaan kaam se hai na ki aadmi se hai,
Lagti hai ek kaanch ke sheeshe si zindagi,
Toofan me chiragh ke jaisi hai dosti,
Jo zindagi bachi hai yahin pe bitauna,
Aangan me apne pyar ka pauda lagaunga,
Phoolon se aur kaliyon se ghar ko sajaunga,
Maa'n ab kabhi main shahr me wapas na jaunga,
Dil ko phir dard se aabaad kiya hai maine,
Muddato'n baad tujhe yaad kiya hai maine,
Tujhse milne ki khushi tere bichhadne ka khyal,
Khud ko kuchh is tarah barbaad kiya hai maine,
TUM KAHAN THI?
mahakti raaton ki chand ghadiyan,
wo khilte mausam ke chand lamhe,
jab apni tanhaiyon me gum tha,
bataao us waqt tum kahan thi,
main qatra qatra wajood bankar,
kisi ki palkon me bas raha tha,
main ek gumnaam saaz bankar,
kisi ki dhadkan me saj raha tha,
bataao us waqt tum kahan thi?
main ek pyasa gulaab bankar,
kisi ki nazron ke baadlon ka,
kaee zamaane se muntazir tha,
magar kisi ne na dekha mujhko,
us nazar se...............................
jo mujhko sairaab itna karde,
ke phir kisi ki na aarzoo ho,
main tera shiddat se muntazir tha,
bataao us waqt tu kahan thi?
ab aise mauqe pe aayi ho tum,
ki khwaab saare.....................
main us jagah dafn kar chuka hun,
mujhe bhi jiska pata nahin hai....
Ek baar wo jumla duhra de,
Jo tune kaha tha aangan me'n,
Seedhi se utar kar aangan me'n,
Ek baar wo jumla duhra de,
Wo jumla wafa me'n dooba hua,
Wo jumla haya se larza hua,
Wo jumla dua ka roop liye,
Chahat ki sunahri dhoop liye,
Wo jumla kisi gulshan ki tarah,
Wo jumla kisi sawan ki tarah,
Jo toone kaha tha aangan me'n,
Seedhi se utar kar aangan me'n,
Ek baar wo jumla duhra de,
Haan yaad hai wo din bhi mujhko,
Jab bhhol ke ae jaana tujhko,
Ek desh ke raja rani me'n,
Khoya tha ek kahani me'n,
To chaunk utha tha aahat par,
Tu aake khadi thi chaukhat par,
Aankho'n me sajaye pyar wafa,
Hotho'n pe sajaye paak dua,
Jab bhool hui thi dono se,
To apne gulabi hontho se,
Jo toone kaha tha saawan me'n,
Seedhi se utar kar angan me'n,
Ek baar wo jumla duhra de,
Tha jism gulabi taj mahal,
Thi teri ada Ghalib ki ghazal,
Jo dekh le patthar ho jaye,
Sun le to sukhanwar ho jaye,
Jo chho le wo gauhar ho jaje,
Ek nassha utarne se pahle,
Ae jaan bichhadne se pahle,
Jo toone kaha tha sawan me'n,
Seedhi se utar kar aangan me'n,
Ek baar wo jumla duhra de,
Ek baar wo jumla duhra de,.......
ab a gaye ho to ruk jao kal chale jaana,
Tumhare sath bitani hai ek raat
mujhe ,
dhadakte dil ka fasana tumhei
sunana hai,
Jawab dena hai tumko mere sawalo ka,
Umido aas ka sara diya bujhana hai,
Tumhe batana hai kaise jiya tumhare baghair,
Hasin sham mujhe kis tarah jalati th,
Subah ki thandi hawa shool
jaisi chubhti thi,
Hasin chandni mera badan jalati thi,
Kabhi kabhi mujhe aisa guma
bhi hota tha,
Ke jaise tum meri duniya me laut aye ho,
Akela chhod kmujhko kabhi na jaoge,
Labo pe han hai hatheli me muh
chhupaye ho,
Kabhi kabhi to mujhe aisa bhi guman hota,
Tumhara milna haqiqat nahi fasana tha,
Wo sare khwab the jhoote jo man ko moh liye,
Wo sath rahne ka waada bhi ek
bahana tha,
Ab aa gaye ho to is or dekhte jao,
Kya meri ankhe abhi mahwe intezar nahi,
Sulag rahi hai muhabbat ki jo shama mujhme,
bujha do isko k ab mujhko tum se pyar nahi,
Tumhara koi sitam ab sitam nahi hoga ,
Chale gaye bhi to ab koi gham nahi hoga.,.
kisne chhedi hai ghazal raat ke sannate me,
Khil gaya dil ka kamal raat ke sannate me,
Ek lamhe me muhabbat ke masael sare,
Kar gaya hai koi hal raat ke sannate me,..
Neeli Ankhon wali ek ladki,
Wo neeli ankhon wali ek ladki thi,
Aksar tanhai me mere paas ati,
Ghanton baten karti,
Ek din uski aankhon me maine dekha,
Ek haseen nila sa sapna jhaank raha tha,
Door kisi anjaan dagar par,
Ek shahzada,
Ek neele ghode par baitha,
Is neeli ankhon wali ko dhoond raha tha,
....... Wo neeli ankhon wali alhad si ladki,
Ankhon hi ankhon me mujh se poochh rahi thi,
Kya mere khwabon ko manzil mil payegi,
Ar main gum sum....
Uska bhola bhala chehra dekh raha tha,
......................................
Usse bichhde ek zamana beet gaya,
......................................
Aaj subah akhbar ka jab safha ulta,
Neele rang ki ek khabar ne chaunkaya,
Maine padha.......
Ek kamsin neeli ankhon wali doseeza,
Kal ek ped ke neeche murda payi gayi,
Qatl se pahle phodi gayin uski ankhen,
Ar.....ar uske nazdeek....
Ghodo'n ke qadmo'n ke nisha'n the.
Ae meri jaane tamanna,
Tumhare khat ne mujhe is tarah jhinjhod diya,
Ke meri palko ke saye se toot kar aansoo,
Mere roomal ke kone me jazb hote rahe,
Kya mujhko teri judaee ka gham nahi jaana,
Kya mujhko shauq nahi tere saath rahne ka,
Mujhe bhi dasti hai sawan ki raat jaane bahar,
Mujhe bhi khoob rulata hai shab ka sannata,
Mujhe to gaon ki har cheez yaad ati hai,
Wo Haat,khel ka maidan...
Khet ar khalihaan,
Gali ke mod se kuchh aage Nani jaan ka ghar,
Sagheer bhai ki Chae dukaan,
Uff Allah.....
Mujhe to itna rulati hai Ammi jaan ki yaad,
Jo sach kahun to mujhe neend bhi nahi aati,
Main Abba jaan ko har waqt yaad karta hun,
Wo Chhote Bhai,Bahan,Dost Rishtedaar sabhi,
Mere khyal ki duniya me jab bhi aate hain,
Main rok pata nahi apne bahte ashkon ko,
Teri hansi,teri khidmat teri muhabbat to,
Mere naseeb ka anmol sa khazana hai,
Ae meri jane tamanna,
Main agle saal baharo ko saath launga,
Chamakte chaand sitaron ko saath launga,
Tera naseeb hi hai Intezar jaane ghazal,
Bas ek saal mera intezar kar lena..........