Aaj ki ghazal
Mere hamraaz mujhko aasra de....
Main mar jaaun mujhe aisi dua de..
Mere andar ka insaaN Mar chuka hai...
Ae Maalik mujhko patthar dil bana de...
Khada hun main hawaaon ko lapete...
Koi aaye mujhe aa kar jala de...
Ghutan ki aag had se badh gayi hai...
Hansaane waale ab mujhko rula de...
Gali se dhoop chunta rah gaya main...
Shabe Asraar se kah do saza de..
Muqaddar ki lakeereN Mit chuki hai..
Meri mutthi me kuchh mere Khuda de..
Badal gaya hai jahan kaun kiska hota hai?
Yeh ahde nau hai miyaan kaun kiska hota hai?
Wo jaane waala kabhi laut kar na aayega
Mita do saare nishaan kaun kis ka hota hai
Main jee raha hun ki marne se kuchh nahi haasil..
Main jaanta hun yahan kaun kiska hota hai.
Mujhe bhula de ki main hun isi zamane ka...
Hai raaz sab pe ayaan kaun kiska hota hai..

No comments:
Post a Comment