Badal gaya hai jahan kaun kiska hota hai?
Yeh ahde nau hai miyaan kaun kiska hota hai?
Wo jaane waala kabhi laut kar na aayega
Mita do saare nishaan kaun kis ka hota hai
Main jee raha hun ki marne se kuchh nahi haasil..
Main jaanta hun yahan kaun kiska hota hai.
Mujhe bhula de ki main hun isi zamane ka...
Hai raaz sab pe ayaan kaun kiska hota hai..
Main tumko paake bhi aksar udaas rahta hun..
Yaqin sa hai gumaan kaun kiska hota hai?