Tuesday 30 December 2014


Add caption
Jahan rahe tu Khuda tujhko shaadman rakhe.
Na jaane kiske liye maine yeh dua ki thi.
wo koocha aaj bhi rota hai dekh kar mujhko.
jahan se maine Muhabbat ki ibteda ki thi.

Monday 18 August 2014






Pyaar ki haqeeqat ko dil mera samajhta hai,
Kaun kitna pyara hai aaina samajhta hai,

Khoon begunaahon ka raayegaan nahin jaata,
kab azaab naazil ho yeh Khuda samajhta hai,

Kitna bhola bhala hai mera chaahne waala,
is haqeer hasti ko dewta samajhta hai,

Kab talak zaroorat hai raushni ki is ghar ko,
ya hawa samajhti hai ya diya samajhta hai,

Hoshmand hai kitna mere gaaon ka paagal,
sirf apni laathi ko aasra samajhta hai,

Kal ki shab na jaane kyun zehn me yeh baat aayi,
Koi to hai jo sabko ek saa samajhta hai,

Hai darindagi jiske rom rom me shaamil,
Aaj har koi usko rahnuma samajhta hai,

Kal ganwaar the lekin qadr thi buzurgon ki,
aaj baap ko beta mas'ela samajhta hai,

Hamsafar hai toofaa'n ka aur dhuen si hasti hai,
E''k naujawa'n ladka khud ko kya samajhta hai,

Sach jhalakne lagta hai beqaraar aankhon se,
Kisme zarf hai kitna mae'kada samajhta hai,

Jaane bas chuka hai kaun uski shokh aankhon me,
chaand ko bhi woh paagal koyela samajhta hai,

Zehn mujhse kahta hai woh wafa ki moorat hai,
aur dil hai jo usko bewafa samajhta hai,

Hostel me rahta hai jabse laadla mera,
Wo har ek parinde ko gaaon ka samajhta hai,

Tuesday 1 July 2014

sabhi gham hans ke sah lenge,
Tere hamraah rah lenge,

Hamen hargiz na tadpana,
Piya pardes mat jaana,

Ye maana bhook ka pahra hai ghar
me,
Ghamon ka rang bhi gahra hai ghar
me,
Tamannaen bali chadhne lagi hain,
Bahaaren door hamse ho gayi hain,

Agar ham rooth jaaen to,
Hamen chahat se bahlana,
Piya pardes mat jaana,

Kuchh uljhe swaalon ke jawaabon me milenge,
ham mar bhi gaye gar to kitaabon me milenge,

Khushboo ki tarah bhatkegi jab rooh hamari,
Tab ham tere aangan ke gulaabon me milenge,

KAB AAOGE ??

Raat ki kaali chaadar har su phail chuki hai,
Tanhai hai,mai hun,
Aur kuchh dhundle se manzar....
Sab teri yaado'n ke rango'n me...
Rang chuke hain.
Yaad aata hai tera phool sa sundar chehra,
Yaad aati hai'n teri adaae'n.....
Yaad aata hai woh din.....
Jab tujhse bichhda tha.
Teri bheegi aankhen mujhko yaad aati hai'n,
Too ne zabaa'n se kuchh na kaha tha...
Na koi mannat ki na ilzaam diya tha.
Aaj achaanak.....
Jaane kyu'n aisa lagta hai......
Too mere kaano'n me aakar bol rahi hai...
""" KAB AAOGE ???? """

Ab isse aur zyada sitam nahin hoga.
Wo mil bhi jaaye to yeh dard kam nahi hoga,

Hadoode sabr sabhi paar kar chuka hun main,
Ki ab to tujhse bichhadne ka gham nahi hoga,

Main koi mufti nahi hun magar yeh kahta hun,
Ki bewafaaon pe Rab ka karam nahi hoga,




Friday 11 April 2014

Nazar Nazar se milakar sukoon paata hun,

Tujhe gale se lagakar sukoon pata hun,



Ghazab to yeh hai ki jo shakhs tera apna ho,

Use bhi apna banakar sukoon paata hun,



Andheri raat me jab saari duniya soyi ho,

To tere sapne sajakar sukoon paata hun,



Tere baghair jo jeena mahaal ho mera,

Koi ummeed jagakar sukoon paata hun,



Main tere baare me kya sochta hun jaane bahaar,

Wo baat tujhko sunakar sukoon paata hun,



Jo chhen sakti hain tujhko mere muqaddar se,

Main unko tujhse bachakar sukoon paata hun,



Main teri doori jo bardaasht kar nahi paata,

To tujhko paas bulakar sukoon paata hun,

Wednesday 9 April 2014

Kisi ko apne khyalon me la na paaoge,

Mujhe bhula ke kabhi muskura na paaoge,



main teri zaat se istarha jud gaya hun sanam,

Mujhe bhulana bhi chaho bhula na paaoge,



Yaqeen maano tumhari kitaabe hasti ka,

Main aisa lafz hun jisko mita na paaoge,



Bichhad rahe ho magar ek baat to sun lo,

Meri tarah ka koi doosra na paaoge,



Mujhe bhi khoob dasegi yeh shab ki tanhaee,

To tum bhi roop koi chaand sa na paaoge,


Zehn me phir yaad ke rangon ko
bikhrate hue,
Ro pada hun aaj main is dil ko
samjhate hue, Meri sachchai pe aksar jhoot hi
ghalib raha,
Woh hamesha hi gaya hai
mujhko jhutlate hue, Sirf ummedon pe hi guzri hai
saari zindagi,
Ek zamana ho gaya us shakhs
ko aate hue, Meri aankhon me bhi ubhra aks
dhundla sa koi,
Maine jab dekha hai ae bulbul
tujhe gaate hue, Door sannate me koi cheekhta
hai baar baar,
Dekhta hun qaafle ko paas se
jaate hue,

MUJHE AAWAAZ DE DENA kabhi jab hijr ki raaten
Bahut tareek ho jaayen, Tumhari aankhon se jis dam,
Suhaane khwaab bhi kho jaaye, Tumhari rahguzar me jab
Naye kaante nikal aayen Tumhare gulsitaan me jab,
Wafa ke phool murjhayen, Tumhari shokh nazron se,
Agar yeh chaand chhup jaaye, Koi gumnaam si awaaz,
Samaa'at se jo takdaye Tumhare dil ko tadpaye
Tumhen paagal bana jaaye, To us lamha
Tumhe mujhse Muhabbat ho ya nafrat ho,
Agar meri zaroorat ho, Mujhe awaaz de dena.....
Main waapas laut aaunga.

Aa bhi jaao ae jaane ada, tumko
dekhe bahut din hue.
Dil ne ro ro ke phir yeh kaha,
tumko dekhe bahut din hue. Tum mere paas the jis ghadhi,
apni lagti thi yeh zindagi,
Bujh gaya aas ka har diya,
tumko dekhe bahut din hue, Chaand taare zameen aasma'n,
ghair lagta hai sara jaha'n,
Tum nahi ho to hai mera kya,
tumko dekhe bahut din hue, Tum hamesha duao'n me ho,
mere dil ki sadao'n me ho,
Ho nazar mujh pe ab dilruba,
tumko dekhe bahut din hue, Ab kahan chaandni raat hai, ab
kahan pyaar ki baat hai,
Ab kaha'n koi bhi aasra, tumko
dekhe bahut din hue,

wo sehne khwaab me aksar utaarta hai mujhe,
Bigaadta hai, kabhi khud sanwaarta hai mujhe,

Ajeeb shakhs hai wahmo guma'n ki waadi se,
Andheri raat me aksar pukaarta hai mujhe,

Ajab junoon sa uspar sawaar rahta hai,
Mujhe hi paane ki khaatir wo haarta hai mujhe,

Naye safar ke liye jo bahut zaroori hai,
Woh raasta bhi to aksar nihaarta hai mujhe,

Mere wajood me uska jawaab hai hi nahi,
Woh apni ankhon hi aankhon me taarta hai mujhe,

Muhabbaton ka anokha jahan banayenge,
Kyaalo khwaab ke jaise use sajayenge,

Karenge yaad tumhen khud ko bhool jaayenge,
Ham apne aapko kuchh aise aazmaenge,

Wo din bhi aayega jab gaaon laut jaayenge,
To beneyazi se ham bhi patang udaayenge,

Shabe wisaal Shamaa baar baar kahti rahi,
Tu na ummeed na ho woh zaroor aayenge,

Agar tumhi na rahe zindagi me jaane wafa,
To kisse roothenge ham aur kise manayenge,

Monday 17 March 2014

Tuesday 11 March 2014

 हकीकत में मुहब्बत की नयी दुनिया बसाऊंगा
चमकते चाँद और तारों से मैं उसको सजाऊंगा
मैं तुझको भूल जाऊँगा
मुबारक हो तुझे वह हमसफ़र जो तेरी चाहत है
मुझे तुझ से मुहब्बत थी मुझे तुझसे मुहब्बत है
मगर सोचा है धीरे धीरे ख्वाबों को जलाऊंगा
मैं तुझको भूल जाऊँगा
खिलेंगे मेरे आँगन में भी ग़ुंचे शादमानी के
उड़ेंगे रंग हर जानिब खुदा की मेहरबानी के
उन्ही रंगों से एक सूरत अनोखी सी बनाऊंगा
मैं तुझको भूल जाऊँगा
मुझे मालूम है तुझको भूलना कितना मुश्किल है
मगर मैं क्या करूँ जानां कि मेरे पास भी दिल है
मैं दिल के हर वरक़ से नाम अब तेरा मिटाऊंगा
मैं तुझको भूल जाऊँगा
खुद का फ़ज़ल है मैं गुल हूँ पत्थर  हो नहीं सकता
किसी भी बेवफा को मैं मयस्सर हो नहीं सकता
मेरे अपने हैं बाक़ी उम्र मैं उनको हंसाऊंगा
मैं तुझको भूल जाऊँगा

Monday 10 March 2014

Aaj Zafar Adeem sb hamare beech nahi inteqaal se kuchh din pahle mere rihaish par munhaqid Nishasht me.. Corner me




کہا تھا نا .....
محبت درد دیتی ہے
محبت چین لیتی ہے
محبت رات کی نیندیں
سکون دن کا
کچھ ایسے چھین لیتی ہے
کہ جس کا ایک زمانہ تک
کچھ اندازہ نہیں ہوتا
کہا تھا نا ......
کہ کچھ کرنے سے پہلے سوچ لو
انجام کیا ہوگا ...؟
تجھے جانا ہے جاؤ
اس طرح رونے سے کیا حاصل
میں تب بھی خوش تھا
اب بھی خوش
مگر ایک بات کہتا ہوں
کی پھر اگلے زمانے میں
محبت کرنے سے پہلے
سمجھ لینا
محبت درد دیتی ہے
wafa ke rang me doobi haseen raat to hai.... 
 jhuki jhuki si nagaahon me koi baat to hai.... 

 ye ar baat ke padhna tujhe qabool nahin...... 
kitaabe zeest ke panne me meri zaat to hai..... 

 buri tarah se hun masroof apne kaamon men...... 
 isi tarah hi ghame hijr se nijaat to hai...... 

akela guzra meri zindagi ka har lamha..... 
 magar khyal ki duniya me ek baraat to hai...
 magar khyaal ki duniya me ek baraat to hai......
CHALO MAIN TUJH SE YE POOCHHTA HUN.. 
YE RAAT KI BEKARAN UDAASI.. 
MERI TARAH TUJHKO DASNE LAG JAAYE.. 
YE NA UMMIDI KA KHAUF JANA 
 JO TERE DIL ME BHI BASNE LAG JAAYE.. 

to kya karoge? 

MAIN PHIR BHI DIN RAAT EK KARKE..
 BIKHARTE LAMHON KO CHUN RAHA HUN.. 
MAIN AANSUON KI LADI SE HAR PAL.. 
NAYE NAYE KHWAAB BUN RAHA HUN.. 

idhar to dekho. 

MERI NIGAHON ME AAJ BHI HAIN.. 
 GAYE DINO KI SUNAHRI KIRNEN.. 
DUAA KE JANGAL ME AASHIYAN KO.. 
 BHATAK RAHI HAIN WAFA KI HIRNEN.. 

ae jaane shayer.. 

CHALO MAIN TUJH SE YE POOCHHTA HUN.. 
KARUN MAIN AB INTEZAAR KAB TAK.. 
 AE MERI DHADKAN ME BASNE WALE..
 RAHEGA DIL BEQARAAR KAB TAK..
ab apne dil ka koee zakhm phir se see nahi sakta, 
 Use khud bhi pata hai uske bin main jee nahin sakta, 

Meri khamoshiyon ke beech koee shor karta hai, 
 Use main door khud se dosto kar bhee nahi sakta, 

Suna hai khwaab ke us paar hai ek dard ki basti, 
  Jahan jaane ki hasrat hai magar jaa bhee nahi sakta, 

Ana ke waaste ladna hai mujhko kuchh nihatthon se,
Mujhe wo kaam karna hai jo mai kar hee nahi sakta,
Khwabon ka minaar khada hai sadiyon se, 
 Koi kisi ko dhoodh raha hai sadiyon se, 

Sadiyon se aabaad hai shaame tanhaee, 
Ankho'n me ek roop basa hai sadiyon se, 

Kaun hai jo sadiyon se hai gumnami me, 
 Kaun hai wo jo wajhe duaa hai sadiyon se, 

Sadiyon se main dekhta hun kiska rasta, 
 Har aahat me kaun basa hai sadiyon se, 

Kaun hai sadiyon se meri har dhadkan me, 
 Kaun hai jo ankhon me chhupa hai sadiyon se,
IS MULAQAT KA ANJAM NA HONE DUNGA, 
AAJ K JAISI KABHI SHAAM NA HONE DUNGA, 

TERI IZZAT HAI MUJHE JAAN SE ZYADA PYARI, 
 MERI JAANA TUJHE BADNAM NA HONE DUNGA, 

BEWAFAI TERI KAR LUNGA WAFA ME SHAMIL, 
MAI TUJHE BARSARE ILZAAM NA HONE DUNGA, 

DIL K KONE ME TERI YAAD RAHEGI HAR PAL, 
 IS FASANE KA MAIN ANJAAM NA HONE DUNGA,
Sada ye kaano me aa rahi hai, 
Mujhe muhabbat bula rahi hai, 

Kahin hai bulbul udaas baithi, 
 Kahin kali muskura rahi hai, 

Woh mujhme me aise sama rahe hain, 
Haya bhi daaman chhuda rahi hai, 

Wafa ne aisa sha'oor bakhsha, 
 Sada labon pe dua rahi hai,

 Main hijr ki raat ka musaafir, 
 Kahin koi jhilmila rahi hai, 

Main jhurriyon me simat raha hun, 
Wo umr apni chhupa rahi hai,
kabhi aisa bhi ho jaaye.. 

Ke mere khwaab hon jaana'n 
Magar Aankhen tumhari hon, 
Tamannaen meri hon 
 par dhadakta dil tumhara ho,
 To phir shayad tumhen Ehsaas ho jaaye 
Ki meri zindagi kaise guzarti hai? 
Main kaise khwaab bunta hun? 
 Meri kya arzooen hai?
 Kabhi aisa bhi ho jaaye...
 Ki kuchh pal ke liye... 
Tumhari rooh mere jism me aajaye. 
 To shayad Tum samajh jaao
 Ki mujhko tumse kitna pyar hai..
 Lekin Kabhi yeh ho nahi sakta.
 Magar.. Kabhi aisa jo ho jaaye..............
kitni bechain si lagti hai fizaa aaj ki raat,
de raha hai koi ro ro ke sada aaj ki raat, 

Meri aankhon me hai thahra wo gulaabi mausam, 
Jal raha hai meri palkon pe diya aaj ki raat,

Aaj ki raat mujhe neend nahi aayegi, 
Muntazir hai koi khwabon me mera aaj ki raat, 

Chaand'ni bikhri hui hai meri chhat pe lekin, 
Rootha rootha sa hai yeh Chaand mera aaj ki raat, 

Aam ki daal pe baithi hui tanha Koyal, 
 Jaane kyun lagti hai duniya se khafa aaj ki raat, 

Main adhure se fasaane ko mukammal kar lun, 
Jaane waale tu zara laut ke aa aaj ki raat,

Saturday 15 February 2014

Afsos apna waada wafa bhi na kar saka,
Main uske haq me koi dua bhi na kar saka,

Yeh bhi hai sach woh hai mere wahmo guman se door,
Ye bhi hai sach ke usko juda bhi na kar saka,

Woh mera hota bas mere jhukne ki der thi,
Qurbaan uspe apni ana bhi na kar saka,

Ghazlon ke beej bota raha umr bhar magar,
Chahat ka koi ped khada bhi na kar saka,

Bas yeh hua ki dard ke saanche me dhal gaya,
Main zakhme dil ki koi dawa bhi na kar saka,

Khud ko hi kya bhulaya muqaddar ke saamne,
Afsos ki main zikr tera bhi na kar saka,


besabab dard ke sehra me na bhatka hota,
Tu agar mera jo hota to main dariya hota,

Chahne waalon ke ek bheed hai mere harsoo,
Kaash toone bhi mera haal to poochha hota,

Muhjko tanhai me aksar ye khyaal aata hai,
Main agar tera nahin hota to kiska hota,

Saqiya tu hai kisi aur ka mera to nahi,
Tere maikhaana me tab jaata jab pyaasa hota,

Kaash ban jaata teri raah ka main phool koi,
Mujhko bedardi se tu rond ke guzra hota,

Tujhko khokar main akela hun magar chain to hai,
Tu jo mil jaata to main aur bhi tanha hota, 

























        Cine Star Jitendra jee Award lete hue

Friday 14 February 2014

ہماری  جان ہے اردو
ہماری شان ہے اردو
غموں کی بھیگی پلکوں سے لبوں کی مسکراہٹ تک
کسی گہری خموشی سے کسی کی شوخ آہٹ تک
محبّت کے  فسانے  کا  حسین عنوان ہے اردو

دکن کی شہزادی ہے یہی دلّی کی رانی ہے
عظیم آباد کی ملکہ اودھ کی یہ نشانی ہے
معزز صوفیوں کے گھر کا ایک گلدان ہے اردو

قطب شاہ میر غالب نے اسے نازوں سے پالا ہے
نکھارا درد نے اقبال نے اسکو سنوارا ہے
یہی طبلے  کی جاں ہے بانسری کی تان ہے اردو

صداقت کا لبادہ اوڑھ کر رہتی عدالت میں
محبّت کی صدا بن کر اترتی ہے  سماعت میں
ہے سچچائی یہی کہ فخر ہندوستان ہے اردو

بہار اپنا یقیناً جان اردو شان اردو ہے
یہاں  کے خطّے خطّے بسی اس کی ہی خوشبو ہے
کہ راسخ اور جمیل و شاد کی پہچان ہے اردو

کلیم عاجز شمیم شبنم و سلطاں پھول ہیں اس کے
ظفر خورشید اور  قاسم کے ہرسو رنگ ہیں بکھرے
اے چشتی مختصر یہ کی ہماری آن ہے اردو