Monday, 10 March 2014

Khwabon ka minaar khada hai sadiyon se, 
 Koi kisi ko dhoodh raha hai sadiyon se, 

Sadiyon se aabaad hai shaame tanhaee, 
Ankho'n me ek roop basa hai sadiyon se, 

Kaun hai jo sadiyon se hai gumnami me, 
 Kaun hai wo jo wajhe duaa hai sadiyon se, 

Sadiyon se main dekhta hun kiska rasta, 
 Har aahat me kaun basa hai sadiyon se, 

Kaun hai sadiyon se meri har dhadkan me, 
 Kaun hai jo ankhon me chhupa hai sadiyon se,

No comments:

Post a Comment