Friday, 17 January 2014

Zamana mujhse kahta hai ki tujh se door ho jaaun,
Main phir se dard apna lun ghamon se choor ho jaaun,

Tamanna jiski sabko hai wahi shai meri apni hai,
Chalo ae dosto main bhi zara maghroor ho jaaun,

Kisi ki muskurahat jab hai meri muskurahat me,
Chhupakar gham kisi ke waaste masroor ho jaaun,

Kai arse se mere dil me bas itni tamanna hai,
Ki koi shart ban jaau tujhe manzoor ho jaau,

Kisi ne aajtak jo na kiya woh mera waada hai,
Juda tujhse agar ho jaaun to langoor ho jaaun,

Safar apna kabhi muhtaaj na ho rail gaadi ka,
Tu ban jaa shahre Patna main Muzaffarpur ho jaaun,

Basa kar tujhko ghazlon me bade hi pyaar se gaaun,
Zamaane bhar me bas tere liye mash'hoor ho jaaun,

No comments:

Post a Comment