Wednesday 22 January 2014

MERI DIARY KA EK PAGE

Kai arse hue,
Jab maine gaaon ko alwidaa kaha,
Aur
Shahr ki bhool bhulaiyon me kho gaya,
Aaj achanak aisa laga,
Ki mera gaaon mujhe awaaz de raha hai,

Main wapas jaana chahta hun,
Usi gali me...
Jiski mitti garmi ki dopahar me bhi
Barf bankar mere paaon ko gudgudaaya karti,

Jana chahta hun us khalihaan me..
Jahan bhoose ke dher ke andar maine pakne ke liye kele
chhupaaye the,

Jaana chahta hun nukkad ki us dukaan par.
Jahan maine udhaar me biscuit
liye the.
Jiske paise aaj tak mujhpar baaqi hain,

Jaana chahta hun us peepal ke paas,
Jiski shaakhen mujhe awaaz de de kar thak chuki hain,

Jaana chahta hun us sookhe talaab ke kinaare,
Jaha'n keechar me lat pat bachche aaj bhi machhli pakad rahe honge,

Wo bazaar mujhe sada de raha hai,
Jaha'n ki Moodhi aur Kachri ka maza aaj bhi honthon par salaamat hai,

Woh boodhi aankhen...
Jo aaj bhi mere liye darwaaze par tiki hain..
Mujhe un bujhi aankhon me muhabbat ke diye raushan karne jaana hai.

Mujhe ghar ki chhat ke us soorakh ko band karna hai...
Jahan se beghairat mausam jhaankte rahte hain,

Daulat aur shohrat ki is qaid se azaad ho kar....
Main gaaon jaana chahta hun..

Mujhe guzre dinon ka qarz utaarna hai,
Taaki main hamesha ke liye chain se so sakun,

No comments:

Post a Comment