Monday, 16 March 2020

Khilona chahiy unko to saans leta hua.
Hamare daur ke bachche bade seyaane hain.
Hamare gaaon se sachchai ho gayi rukhsat.
Har ek chauk pe do chaar chaae khaane hain.





Main wada to nahi karta judaai ho bhi sakti hai,
Main hun insaan mujhse bewafai ho bhi sakti hai,
Bulandi pe pahunch kar khud pe zyada fakhr mat karna,
Ae mere dost aage gahri khaai ho bhi sakti hai,




jispe qurbaan hai jaano tan.
jo muhabbat ka hai ek chaman..
Woh hai meri bahan.
woh hai meri bahan.
jo sharaafat ki pahchaan hai.
Baap aur maan ki jo shaan hai.
Apne bhai ki ghairat hai jo.
Saadgi jiska hai pairahan.
Hai wo meri bahan.
jisme jazba hai eesaar ka.
jisme shaamil hai rang pyar ka.
chaand ki shokh si chaandni.
jo hai suraj ki pahli kiran.
woh hai meri bahan.
zindagi, jiski muskaan hai.
jiska Khaaliq nigahbaan hai.
phool rahmat ka kahiye jise.
jisko kahiye bahaare chaman.
Woh hai meri bahan.






wo kachchi sadke'n udti dhool,
liye basta jaana school
,wo lamhe bhool na paau'n.....
kabaddi ka tha ek maidaan,
kahin pe khet kahin khalihaan,
wo lamhe bhool na paau'n,
jo garmi ka mausam aaye,
to baagho'n me'n koyal gaaye,
bichhe chaupaaee aangan me'n,
badan ko chandni nahlaye,
tha jiske aage sab kuchh maa'nd,
mere bachpan ka tha woh chand,
wo lamhe bhool na paau'n,
hasee'n thi kitni wo barsaat,
jo din bhi ho jaata tha raat,
wo paani wo kaghaz ki naa'o,
chale phir jugnu ki baaraat,
bhala kaise koi bhoole,
wo kahna aa mujhko chhule,
wo lamhe bhool na paau'n,
thithurti subha thithurti shaam,
nahi karna phir bhi aaraam,
wo fursat ke pyaare lamhaat,
yahi tha bachpan ka inaam,
gali ke mod pe tha ek ghar,
koi tha us ghar ke andar,
wo lamhe bhool na paau'n,
mera jab se bachpan chhuta,
to har shae se rishta toota,
kamaane aya aise shahr,
jahaa'n ka har manzar jhoota,
wo pokhar wo peepal ki chhao'n,
kahaa'n hai CHISHTI apna gaao'n,
wo lamhe bhool na paau'n,





Tujhe se milkar zindagi meri rangeeli ho gayi,,,,

Rozo shab Raushan hue har raat nasheeli ho gayi,,,

Is tarah zahre Juddai ne kiya mujhe pe asar,,,

Srif aankhen hi nahi soorat bhi neeli ho gayi,,,

Kya bataun wo mere dushman tha yo phir dost tha,,,,

Dosto jiski hatheli aaj peeli ho gayi,,,

Aaj phir khwabon me meri jeb dheeli ho gayi,,,

Jab jalane chaha khwabon ke jahan ko dosto,,,

Ansoo'on me bheeg kar nakaan teeli ho gayi...




Teri masoom duaon me asar aayega.
kal naye saal ka sooraj tere ghar aayega.
teri duniya me muhabbat hi muhabbat hogi.
tujh pe maalik ki har ek lamha enayat hogi.
main gaye waqt ki maanind chala jaaunga.
mujhko aawaaz bhi doge to nahi aaunga.





Shama bankar pighalta ja raha hai.
ye kis saanche me dhalta ja raha hai.
nayi tahzeeb ki nangi lapat me.
hamara shahr jalta ja raha hai.





Meri muhaabbat haraam na ho,
Main kaam aisa kiya karunga,
main yaad tujhko karunga lekin,
Namaz pahle ada karunga,

Jo mil gaye tum to shukr Rab ka,
Mile na to maslehat Khuda ki,
Khabar na honthon ko ho kuchh aise,
Main naam tera liya karunga,

Main Chaand bankar chamak raha hun,
Magar haqeeqat bhi jaanta hun,
Uthaya mitti se jisne mujhko,
Usi ke aage jhuka karunga,

Yeh maana apni wafa hai sachchhi,
Magar samajh lo ae jaane hasti,
Wafa ka anjaam hai judaai,
Main hanske tum bin jiya karunga,

Meri nigaahen bhi bheegti hain,
Fajar ki pahli azaan se pahle,
Wazoo karun aur namaaz padh lun,
Phir aaj rokar dua karunga,

Wo maut aur zindagi pe qaadir,
Karega hukme wisaal saadir,
Woh jaanta hai tumhare bin main,
Jaha'n me jee ke bhi kya karunga,






To Gaaon yaad aata hai.
kabhi jab shar ki galiyon me sannata bikharta hai.
koi palkon ki seedhi se
mere dil me utarta hai..
wo dil me dhoondta hai.
Chain
magar bechainiyon ki aag paata hai.
to wapas laut jaata hai.
kabhi jab shahr ki parchhai
meri rooh par padti hai..
to lagta hai mere andar
koi jaaga hai...
aur phir kuchh hi pal me..
kisi ke rone ki aawaaz aati hai..
Unhi lamhon me aksar
mujhko mera gaaon
bahut hi yaad aata hai.

No comments:

Post a Comment